Abhivyakti ki ajadi

Vo bol kar anarth
Uska artha nikal rha h
Vo bol kar anarth
Uska artha nikal rha h

Ulanghan kar nyaay ka
Use sanvidhan bta rha h
Deshdroh ko vo
Apni Swatantrta bta rha h

Vo bol kar anarth
Uska artha nikal rha h

Desh ko gali dena
Abhivyakti ki ajadi bta rha h
Bhavnao se khelna
Vo apna hak bta rha h

Vo bol kar anarth
Uska artha nikal rha h

Aatanki ko shahid
Desh ko katil bta rha h
Mahol bigad ke desh ka
Jashn ghar me bna rha h

Vo bol kar anarth
Uska artha nikal rha h
Or kah diya use kuch
To abhivyakti ki ajadi ka
 paath pdha rha h

                           Harshit saxena

Comments

Popular posts from this blog

Nyaydhish ko nyay dilaane ja rhe ho