Posts

Showing posts from November, 2018

Kabhi the bhai bhai

Kyu nafrat ghol rhe ho dilo me Leke hindu muslim ka naam Kabhi khte the h sab  bhai bhai Pr ban gye aapas me ye kasai Gandi rajniti ke liye Kyu nafrat ghol rhe ho Bhadhka dete ho leke kasaab ka naam Kyu bhula dete ho apj abdul klaam Kyu chapte ho akhabaron me Blast me shaamil rashid Abdullah ka naam Kyu chupa dete ho itihaas me se Paramveer haasil abdul hamid ka naam  aatanki ishaq hussain ka zikr krte ho Or bhula dete ho ustaad hussain ke geet Kyu rhmaan ke karname chapte ho Kyu bhula dete ho rhmaan ke geet Kyu bhadhkili baate likhte ho Kisi pak major Iqbal ki Kyu nhi chapte veer gathaye Naushera ke mohammad usman ki Nafrat bhari baate dikha doge rhmaan ki Kyu chupa dete ho kavitaye sant raheem ki Kyu jlate ho  leke kasaab ka naam Or kyu bulate dete ho klaam ka naam Nafarat ghol ke Tum to jeet jaoge Par insaniyat ko  hraa jaoge Kaabhi jo the bhai bhai Ban jayenge ek dusre ke liye ksai Bn jayenge ek dusre ke liye ksaai                            

Nyaydhish ko nyay dilaane ja rhe ho

Jiske dar jakar tum Apne ghar ki bhikh maangte ho Aaj tum use ghar dilaane ja rhe ho Jiske karan aaj tum ghar me ho Aaj vo bina chat ke vhan betha h Jiske sahare tum sb ho Aaj vo tumhare sahare  vhan betha h Jiske sahare tum nyay pate ho Aaj vo nyay ke intezaar me vhan betha h Jiske naam se  sare kaam ban jate h Aaj uskaa kaam tum pr atkaa h Jiska naam lene se jhut bhi sach bn jata h Aaj tum ek sach ko sach sabit nhi kr pa rhe ho Jiske sahare naav paar lgti h Aaj use bich me atka ke ja rhe ho Jiske dar jake tum Apne ghar ki bhikh maangte ho Aaj use ghar dilaane ja rhe ho                                      Harshit saxena

Chitthi

Ek fauji ghar pe chitthi bhejta h Agar ye meri akhiri chitthi ho To preshan n hona Agr is rakhi meri jagha Meri verdi aaye To bhna se khna Ki preshan n hona Agr is krva chauth pr Meri muskan ki jgh Meri ankhen bnd mile To preshan na hona Agr is diwali meri taraf se Tohfe ke sandook ki jgh Mere saman ka sndook aaye To preshan na hona Agr is holi meri vardi Rang ki jgh Khun ki jgh rangi ho To preshan na hona Agr is bar main vardi ki jgh Tirange me lipta aaun To preshan na hona To preshan na hona                             Harshit saxena